Listen

Description

Hello and welcome to the CV talks. Ajj hum baat karenge Distance MBA pe. Jaise ki Distance MBA hota kya hain ? uski eligibility, duration, or syllabus pe bhi baat karenge. Saath hi me apko distance MBA ke benefits bhi bataungi or bhi bht kuch.  

Ayiye Jante hain ki distance MBA hota kya hain ? Distance MBA ek 2 saal ka business field me postgraduate course hain jise wo saare log kar sakte hain jo ki regular classes attend nahi kar sakte.
jaise ki working professionals, kuch students jo Job karne ke saath padhai karna chahate hain. 

Distance MBA toh hamne samjh liya, ayiye ab jante hain ki iski eligibility kya hain, distance MBA karne ke liye app graduate hone chaiye kisi recognised university se 50 percent marks ke saath. 
Halaki kuch universities experinece bhi demand karti hain or kuch nahi bhi. Kuch governemnet universities, iske liye entrnce exam bhi conduct krti hai..
 
Agar me Distance MBA ki duration ki baat karu toh distance MBA ki duration bhi same hoti hain regular ki tarah joki 2 saal hain. 

Syllabus ki baat kare toh, syllabus bhi lagbhag same hi hota hain dono ka regular ho yaa distance MBA dono me hi apko basic se lekar advanced topic business ke padhaye jaate hain. Taaki app sab kuch behtar tareeke se samjh paye. 

 Haan Agar app MBA me koi specialisation chunte hain toh phir uss ek subject ke topics me app master ho jaate kyuki apka poora focus buss uss subject me hota hain.

 Hamne jab specialisation ki baat kari hain toh me apko kuch top specialisation bhi batan deti hun. Inn specialisation ki demand bht hain kyuki abhi inn specialisation ke graduates ki demand badh rahi hain. 

Wo top specialisation hain MBA in Finance, Marketing, HR, operations, IT, Data Science and digital Marketing. 

Aane waale kuch 4-5 saalo me demand or badh jayegi jiski wajah se inn specialisations ke graduates ke liye job opportunities bhi badh jayengi. 

Ayiye ab jante hain Distance MBA kar lene ke baad ab kin kin job roles ke liye apply kar sakte hain App kayi saari job roles ke apply kar sakte hain jaise ki Project manager, Operation manager, Business Analyst, Marketing executives or bhi kaayi saari. 

Ayiye Jante hain ki Distance MBA karne ke benefits kyaa hain, Sabse pehla benefit ye hota hain ki apko daily college nahi jaana hota iske saath hi app apne time or speed ke according padh sakte hain, or jab ek or degree add karte hain apne resume me tab apke higher salary packages ke chances or badh jaate hain, agar app working professional toh apke liye toh or beneficial ho jaata hain kyuki app Job ke saath saath hi padhai kar sakte hain or iski wajah se apki koi salary loss bhi nahi hoti.  

Ab baat karte hain konsi konsi universities ye specialisations offer karti hain. 

Kaafi saari university Distance MBA offer karti hain, jaise ki Madras University, Chandigarh University or LPU distance. 

Or Kaayi saari top universities bhi. 

lekin sahi university chunana bahut jaruri hai.

kya aap jaanate hain ki ham aapki lie sahi university select karne me  aapakee madad kar sakate hain? aakhir kaise? Yeh  bahut asaan hai. aapako bas college vidya ki website par jaana hai aur kuchh savallon ke javaab dena hai, jisake according ham aapako aapake budget, time commitmnet ke according kuchh university suggest karenge. kyon hain na aasaan…. to ab chuno vahee jo han sahee.

I hope you like this podcast, Aise hi kuch or podcast sunne ke liye sunte rahaiye CV talks.