Hello and swagat hain apka ek baar phirse CV Talks ke naye episode me jisme ajj hum baat karege “IIM ke online courses pe” jisme last me me kuch FAQs ka anwer bhi karungi jisme apke lagbhag saare doubts clear ho jayenge….
IIM se padhna uss har sakshq ka sapna hota hain jise apna career business field me build karna hota hain. Par kayi saare applicants ko ye mauka hi nahi milta IIMS ke High-cut offs ki wajah se yaa toh unki job ki wajah se.
Iss problem ko samjhte hua IIM ne introduce kara online MBA, Executive MBA ke naam se. Or iske saath ki IIM ne kaayi saare certificate courses bhi introduce jisme working professional araam se apply kar sakte hain…
Par ab question ye raise hota hain ki kya IIM me admission hum bina entrance exam yaahi bina CAT, MAT, GMAT or IIM- Specific exams le sakte hain kyaa?
Toh me apko batana chahungi ki Kaayi saare IIMs ke online programs me to admission regular ki tarah hi hota jisme apko entrance exam dena hota hain,, par kaayi saare aise programs bhi hain jinme app bina entrance exam ke hi kar sakte ho…
Chaliye pehle me apko batatai hun konse konse programs IIM online mode me offer karta hain?
Toh ye programs hain IIM Executive MBA, IIM certificate programs and IIM diploma programs, e-development programs, professional certifications, master degree courses, and Micro-master courses. Ye saare programs hi app online mode me kar sakte hain.Ab baat karte hain inn programs ki eligibility or duration pe In programs me apply karne ke liye apka kisi government-recognized university se 50 to 55 percent marks ke saath graduated hona jruri hain or iske saath hi apko apni respective field me 2 se 3 saal tak ka experience jaruri hain.
Ab baat karte hain hum programs ke duation pe… Ye programs design kare gaye hain shorter duration ke liye jo app easily hi 12 to 24 months me complete kar sakte ho.. Or certiifcate programs ki duration hoti hain 5 to 6 months ki . Halaki exact duration depend karti hain ki app konsa specialisation choose karoge.
Ab baat karte hain ki IIMs ke konse online program me apko dene hota hain entrance exam, toh wo program hain Mater of Data Sceince and Management jo ki offer karta hain IIM Indore, iss program ko karne ke ke liye apko entrance exam jaise ki CAT, MAT , GMAT, GRE, GATE, yaa JAM or DMAT dena hota hain. Sirf ek iss program me apko dena hota hain entrance exam.