Listen

Description

Hello and welcome to the CV talks. Ajj iss episode me hum baat karenge One year online MBA pe, jaise one year online MBA kya hain, iski eligibility, duration, syllabus or ye regular se kaise alag hain uspe bhi baat karenge. Or Online MBA karne se apko kya benefits milenge uspe bhi discuss karenge. 

Toh One year Online MBA hota kya hain ? Jaisa ki hum naam se hi samjh sakte hain ki one year yaani ki 1 saal me bhi hum online MBA yaani business field ki padhai kar sakte hain. 

Ab ye bolte hi apke mann me kaayi saare sawwal bhi uth rahe honge jaise ki one year online MBA ek 2 year Online MBA se different kaise hain? Or isko karne ke liye kon kon eligible hote hain? Or isko karne ke fayde kya hain. 

Kaayi saare logo ke liye apne dedicately 2 saal invest krna mushkil padd jata hain toh wo one year online MBA se buss 1 saal me hi wo saare major subjects cover hote hain joki business-related topics ke better understanding k lye jruri h. 

Agar hum 1 year Online MBA or 2 year online MBA k difference ki baat kare toh, jyada difference dekhne nahi milta hain, dono ka hi syllabus almost similar topics cover karta hain.

 Ek difference jo dekhne milta hain wo hain duration ka  2 year Online MBA me apko poore 2 saal dene hote hain wahi appp 1 year online me buss 1 year complete kar sakte hain. 

1 year online MBA koi bhi kar sakta hain buss apki graduation minimum 50 percenet marks ke saath complete honi chaiye. Isme koi work experience bhi hona jaruri nahi. Lekin kuch universities iske admission k lye entrance exams conduct krti h aur kch aapke CAT, MAT, & other exams k score k basis pr hi admission offer kr deti h.

Ab hum baat karte hain 1 year Online MBA ke kya benefits hote hain. 

Sabse pehla benefit ye hota hain ki kyuki ye 1 year online MBA hain toh apko pressure feel ni hota, or online hain toh iski wajah se app asaani se isee kahin se bhi kar sakte hain, or agar app ek working professional hain toh apke liye ise karna or bhi beneficial hoga kyuki app isse aapke knolwdge k sth sth salary package bhi enhance hota h. 

Online one-year MBA  ka ek or benefit hain jaise ki app kuch dedicated hours padh ke hi degree paa sakte hain. 

Ayiye ab jante hain 1 year online MBA ke kuch specilaisations. Joki hain specialisation in finance, digital finance, marketing or strategy and leadership. 

 Kaayi saari top universities bhi ye specialisations offer karti hain. 

lekin sahi university chunana bahut jaruri hai.

kya aap jaanate hain ki ham aapki lie sahi university select karne me  aapakee madad kar sakate hain? Wo bhi srf kch savallon ke javaab se.. aapako bas college vidya ki website par jaana hai aur wahan puche gaye sawalo ka jawab dena h.. Aapke inhi jwabo k according ham aapako kuchh universities suggest karenge.. Jo ki aapki time commintment & budget dono mei fit hogi… kyon hain na aasaan…. to ab chuno vahee jo han sahee.

I hope you like this podcast, Aise hi kuchh or podcast sunne ke liye sunte rahaiye CV talks.