Listen

Description

Hello, and welcome to the CV talks. Ajj hum baat karenge 10 B.SC ke top 10 specialisation pe. 

Jaise ki hame B.SC me specialisation choose karne ki jarurat kyu hain? Or hame isse kya benefits milenge?  Jiske saath hi  me apko bataungi top 10 B.SC specialisations k bare mei jinki industry me kaafi demand hain.

Toh ayiye samjhte hain ki hame B.SC me specialisation choose karne ki jarurat kyu hain? Or iske kya benefits hote hain? 
 
Jab aap ek specialisation choose karte hain toh apka poora focus uss ek topic pe hi hota hain or  jiski  wajah se app uss topic se related fields me master ho jaate hain, Jiske kayi saare benefits bhi hote hain jaise ki  app wo, kaafi saari skills develop karte hain jo ki industry me apke kaam aane wali hain. Apka salary package bhi kaafi acha ho jaata hain ek BSC with no specialisation ke comparison me. Or jab app apne mann ke subject me specialisation chunte hain toh, apka mann bhi karta hain uss subject ki har details janne me. 

BSC specialisation kya hota hain wo toh hamne samjh liya ab hum jante wo top 10 BSC specialisations jinki industry me kaafi demand hain. 

Pehla top specialisation hain B.SC in Information technology, iss specialisation me apko padhaya jaata hain software ke baare me, database system or networking ke baare me. Iss specialisation ko karne ke baad app ek organisation ke valued information ko or bhi behtar tareeke se store kar payenge. Koi bhi indusry ho jaise medicine, engineering yaa business, iss specialisation ki demand badhti hi jaa rahi hain. 

Doosra hamari list me hain B.SC specialisation in computer science, badhti IT sector ke saath computer graduates ki demad bhi badhti jaa rahi hain. Iss specialisation me apko wo har computer technical aspect ki jaankaari milti jo apko aage future me help kare. 

Teesre ki baat karne se pehle me apse janna chahungi apko sabse jyada kya pasand hain karna? Hmm Khana I guess, ye kise nahi pasand hota hain? Food ki badhti demand ki wajah se food industry ki demand bhi badh rahi hain jisse kya ho raha hain ki iss field me graduates ki demand me increase hui hain. Ji me baat kar ri hun B.SC in food technology ki jisme apko padhaya jaata hain food industry ki processing, manufacturing or food preservation ke baare me. 

Fourth pe aane se pehle app mujhe batao ki India ki abhi bhi adhe se jyada log kahan employed hain ? 
Ek report ke according India ki lagbhag 45 percent log abhi bhi Agriculture filed me employed hain abme apko fourth specialisation batana chuhungi joki hain BSC in Agriculture, jisme apko padhaya jaata hain genetics, plant breeding or soil science ke baare me. 

Fifth ki baat kare toh app agar animation, designing or advertising yaa gaming me dilchaspi rakhte hain toh ye specialisation apke liye hain , ji me baat kar ri hun BSC specialisation in Animation ki. 

Sixth specialisation unke liye hain jinhe helicopters and aircraft me kaafi dilchaspi hain, naam hain BSC specialisation in Aviation. Or iss specialisation me apko padhaya jaata hain aircraft maintanence , air traffic control and airline management ke baare me.

Seventh specialisation unke liye hain jo log creative filed me apna career dekhte hain, ji me baat kar rahi hun B.SC in multimedia. Isme specialisation me apko padhaya jaata hain graphics, animation, and designing. Film and television industry me kaafi scope hain iska. 

Eighth hamari aise specialisation hain jiske baare me logo ko bht kam pata hain but aane waale kuch 4 se 5 saalo me iski demand kaafi badh jayegi. Ye specialisation hain BSC in Aqua culture jisme apko seekhne milta hain production management, health or kuch other aspects aquatic life ke baare me. 

I hope you like this podcast, for more such podcasts keep listening to CV talks.