bhagwaan tumhari maya
tu duniya ka malik hai
bhumandal rach diya sara
tere bhaal se shrigan tara
jag mein ujiyaar tumhara
koi jagah nahi khali hai
tu bhare ko reeta karde
reete ko pal mein bharde
phir dosh aur ka dharde
tere haathon mein taali hai
suraj chanda aur tare
jo jag mein kare ujale
yeh sare khel tumhare
tere laalo mein lali hai
tu nahi kissi se darta
tu na jita na marta
Phir naav chat ke rakhta
tere haato me tali h
yeh mewa pandit kehge
jo gaon bhanakpur rehte
kyu bhavsagar mein behte
japlo hardam khayali h