podcast
details
.com
Print
Share
Look for any podcast host, guest or anyone
Search
Showing episodes and shows of
Ashok Sawhny 'Sahil'
Shows
Dastan -e- zindagi
Naata | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 92
Title - Naata / Dard-e-dil ka DarmanWritten By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Rang duniya ke juda hain, jaise bahaar aur hai khizaanSehal nahin samjhaana kisi ko, kya insaan aur kya haiwaanMazhab ka kya naata hai, insaniyat se yaroAchhe burey to insaan hain, na ke barahaman aur musalmaanAshk hain yeh falak ke bechareTakta reh jata hai, hairaan be bas aasmaanBas karo hungama, yeh bahami fasaad logoMushkil hai samjhna kyun khuda ki di hui hai jaanDil o dimagh mein tazaad hai is qadr, ‘Shil’Misl-e mauj beh jata hai, jazbaat mein insaanNote: All...
2025-03-18
01 min
Dastan -e- zindagi
Ferjaam | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 91
Title - Ferjaam / Dard-e-dil ka DarmanWritten By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil ‘Sahil’ maut ki nahin hoti hai zindagi ghulamHasti us ki apni hai, mat kar qaza ko badnaamYaro, dekha jaaye to zeest ibtidaye maut haiAur fanaa hi har shai ka hai, ferjaamSheikh , jab hayaat ka maqsad hi sayi haiPhir kya fayeda jeena, be Neel e MuraamYaro, gilah ka mauqa kyun dena kisi koZabaan talkh na ho, shireen ho kalaamDil ke aayena mein jhaank, nazar aaye ga jahanKya kere ga le kar ‘Sahil’, jamshed ka tu jaamNote: All material in this pro...
2025-03-18
01 min
Dastan -e- zindagi
Dhanak | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - DhanakBy @AshokSawhnySahil. Video Artist - Badar Naaz#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Rangon mein rang to na safed hai na hi siyaahPhir, dhanak ho haseen aasmaan mein kyon naKhudaya banaya tha tu ne jab farishte ko shaitanPhir woh mubtala ho yaan ghaban mein kyon naShaitaan o farishta donon hain man mein sab ke jabTo insan phir doobe kabhi paagalpan mein kyon naQafas ho khula aur andaleeb ho ghayab, to phirBatao fasurdagi ka aalaam ho gulshan mein kyon naJab ek taazagi hai ‘sahil’ kalaam mein tere, to phirSuney kyon na bulbul aur gul chaman mein kyon naWebsite : www.ashoksawhny.comYoutu...
2025-03-18
01 min
Dastan -e- zindagi
Jo Guzar Gaya | Poetry by Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Shayari
Title - Jo Guzar GayaBy @AshokSawhnySahil. Video Artist - Ujala Saroj#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jo guzar gaya woh lamha thaWoh lamha ab fana huaJo bach gaya so haal haiNaam mustaqbil ka kal huaUs kal ka aaj kisey pataNa aya jo na hum ne dekhaJo zulmaton men lipta hoSiyah jis ki ho qabaMaazi na mustaqbil koiJalwa na mehfil koiJeena is lamhe men haiGirdaab ho ya sahil koiRet aur khaak ki dher hai dunyaAtish fishaan, her pher hai dunyaGardishon ka khel hai sabBas shaam o shab aur saver hai dunyaDeekhlaati hai sab ko khwaab yeh dunyaHaqeeqat nahin saraab yeh dunyaGumraah kare yeh sab...
2025-03-18
01 min
Poetry On Life
‘Twud always be wise to accept happily | Lyrics By Ashok Sawhny "Sahil"
Title - ‘Twud always be wise to accept happilyBy @AshokSawhnySahil. Video Artist - Ujala Saroj#ashoksawhnysahil #songs ‘Twud always be wise to accept happilyThat the end of all Life is mortality,Some void somewhere called EternityThe crying need of the dot, we call humanity So, someone wise discovered the place calledParadise That never-seen mirage in the skiesPerhaps, the biggest of all believedFor which, forever searching are all human eyes. This is not blasphemy, my friendsThe fragility within quite often pretendsAnd then, into the space above sendsHopes, desires, prayers for the Lord to run errands. Spare a thought for HimHe who has...
2025-03-12
03 min
Dastan -e- zindagi
Tamanna | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Tamanna (Sada e Dil)By @AshokSawhnySahil. Video - Badar Naaz#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari TamannaGhazal chhed aisi koi zindagi meinBadal de andhere ko jo raushni meinMusarrat ke naghmaat se bhi ho baalaHo soz-e-gham yaar bhi Ragni meinTarap jaaye insaan ka dil jisko sun karWoh jaadu ataa kar meri shayari meinWoh aansoo bahen meri aankhon se yarabHo taskin-e-dil aansuon ki nami meinZubaan-e-mohabbat ko taaseer woh deWoh sab kuch samajh len meri khamshi meinBohat main ne jhele hain dukh mere maulaNa ho koi gham ab meri zindagi meinSiwaye tere kuch nazar hi na aayeMiley lutaf aisa teri bandagi meinKuch is ta...
2025-02-21
02 min
Dastan -e- zindagi
Khoon Paseeney | Poetry By Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Poetry
Title - Khoon PaseeneyBy Ashok Sawhny "Sahil" Video Artist - Badar NaazFayeda nuqsaan to mahz anjaam haiKhoon paseeney ka naam kaam haiGaley milna na jaano to jaanogey kyaKya hota hai milna kya inzimaam haiHayaat do manzila makaan hai huzurAsl zamin per baaqi sab sar e baam haiInsan ban kar rehna insaniyat ko apnanaKaho is se bartar kaunsa kya maqaam haiHar baat ka jawab to vaiz pe nahin hotaRab hi jaane kis shai ka naam dawaam haiAi zeest kya qaza ki tu ghulaam hai, yaWoh tera anjaam aur khuda ka paigham hai‘Sahil’, jab riza khuda ki aur hukm sab us...
2025-02-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Jo Guzar Gaya | Poetry by Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Shayari
Title - Jo Guzar GayaBy @AshokSawhnySahil. Video Artist - Ujala Saroj#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jo guzar gaya woh lamha thaWoh lamha ab fana huaJo bach gaya so haal haiNaam mustaqbil ka kal huaUs kal ka aaj kisey pataNa aya jo na hum ne dekhaJo zulmaton men lipta hoSiyah jis ki ho qabaMaazi na mustaqbil koiJalwa na mehfil koiJeena is lamhe men haiGirdaab ho ya sahil koiRet aur khaak ki dher hai dunyaAtish fishaan, her pher hai dunyaGardishon ka khel hai sabBas shaam o shab aur saver hai dunyaDeekhlaati hai sab ko khwaab yeh dunyaHaqeeqat nahin saraab yeh dunyaGumraah kare yeh sab...
2025-02-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Dhanak | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - DhanakBy @AshokSawhnySahil. Video Artist - Badar Naaz#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Rangon mein rang to na safed hai na hi siyaahPhir, dhanak ho haseen aasmaan mein kyon naKhudaya banaya tha tu ne jab farishte ko shaitanPhir woh mubtala ho yaan ghaban mein kyon naShaitaan o farishta donon hain man mein sab ke jabTo insan phir doobe kabhi paagalpan mein kyon naQafas ho khula aur andaleeb ho ghayab, to phirBatao fasurdagi ka aalaam ho gulshan mein kyon naJab ek taazagi hai ‘sahil’ kalaam mein tere, to phirSuney kyon na bulbul aur gul chaman mein kyon naWebsite : www.ashoksawhny.comYoutu...
2025-02-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Payambar | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Payambar to insan hai khuda to woh bhi nahinSaanson ka aana jana hawa to woh bhi nahinDua mein kitna asar hai nahin hai kaun jaaneIltija hai lekin dawa to woh bhi nahinNaseem to naseem hai zuroorLekin saba to woh bhi nahinKya sahil ko kahun mein apna yaroAakhir woh bhi to apna nahinJis ne so saal bhi jee liye ‘Sahil’Lekin baqa to woh bhi nahinWebsite : www.ashoksawhny.comYoutube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoetSpotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrL...
2025-02-19
01 min
Dastan -e- zindagi
Auraq-E-Hasti | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Auraq-E-HastiBy @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Auraq e hasti sanwar jaaengeAawara wo kaaghaz kidhar jayengeSharaab hata mai e naab rakh saqiSab rind phir jahan ke sudhar jayengeMunsif nazren mila kar suna faislaJurm se varna hum mukar jayengeMasiha nahin to isa e nafas kyaYun hi saans lete lete hum guzar jayengeAb muashre ko ‘sahil’ samjhaye koiGar bhooley khuda ko to bikhar jayengeWebsite : www.ashoksawhny.comYoutube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoetSpotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZVAshok Sawhny, Dastan...
2025-02-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Waqt Ba Waqt | Poetry by Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Shayari
Kya hai koi aisa dunya men dekhe jis ne gham nahin Jo roya nahin aur aankh jis ki hui kabhi num nahin Waqt ba waqt ki baat hai, khel hai saara qismat ka Mubarak kyon khushi ko den mujrim to alam nahin Yaro, tum wohi main wohi badla to kuch bhi nahin Sheeshe ka qusur sab, mulzim aakhir hum nahin Gardishon ki baat aur sakoot e sumundur ki kya Kaun hai jis ne sahil dekhe aur dekhe talatum nahin Gar basa len dil ke khaanon men khuda ko hum ‘sahil’ Phir khaali na hogi ja koi, rukega ranj o gham n...
2025-01-30
01 min
Dastan -e- zindagi
Jab Manzil Nahin | Poetry by Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Shayari
Jab manzil nahin phir ravaan ho kyon Tum aawara meri jaan ho kyon Shab se gar kaam chalta jahan ka Phir suraj kaho ayaan ho kyon Har shai ka maqaam apna hai yaro Phir hamaare kehne se wahan ho kyon Tu kuch na karega khudaya agar To pur sukun phir jahan ho kyon Gar pukhtah ho iman to vaaiz Darkaar koi aur darmaan ho kyon ‘Sahil’ safar lamhon ka hai zindagi Phir mustaqil kuch yahan ho kyon Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used i...
2025-01-30
01 min
Dastan -e- zindagi
Anndaata-o-Kartaar | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Ann daata o kartaar tujhe kehte hain sab Phir kyun ya rab pareshan rehte hain sab Ek hi khuda hai jis naam se bula lo Phir kyon bad gumaan rehte hain sab Zameen per koi aur aasmaan men koi Vaaiz, aaj kaun jaane kahan rehte hain sab Zameen se faramosh sarabon men be hosh Jaane phir kaise yahan rehte hain sab Ahd e maazi ko bhoolen to kis liye hum Usi se to har dum jawaan rehte hain sab Dil sab ka hai ‘sahil’ manind e sumundur Usi ki maujon men ravaan rehte hain sab Website : www.ashoksawhny.com Youtub...
2025-01-28
01 min
Dastan -e- zindagi
Khoobaan Se | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Khoobaan se na ho habban to kya Ghar men na ho hum zubaan to kya Gul o khaar hain chaman men khub Bulbul nahin na baaghbaan to kya Kirnon ki mushtaq hai nadi bhi Aftaab na ho ayaan to kya Aaraam to chahiye sayyare ko bhi Gar darya na ho ravaan to kya Mukhbir hain aankhen, intibaah! Raaz e dil na ho pinhaan to kya Raushan sitaare kyon kaafi nahin ‘Sahil’, chaand na ho ayaan to kya Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoks...
2025-01-28
01 min
Dastan -e- zindagi
Rashk-e-Jinaan | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 84
Mat ro ‘Sahil’ yuhin tu, giraan baha hai dil o jaan Falak se ansu tapken ge, karam farma hai aasmaan Buniyaad chaman ki khaak hai, wohi tauleed, wohi mazaar Ugta hai phool khaak se, phir bantaa hai gulisitaan Sukun hai ism hayaat ka, samandar bohat gehra hai Gar pareshan hona mout hai, kyun hona phir, pareshaan Aab-e-kausar na sahi aur na hi farishta koi Bana le ai bashar tu, jahan ko rashk-e-jinaan Muskaan hogi rukh pay tere, kehlaye ga tu naik insaan Sar jhuka kar chal ‘Sahil’, isi mein hai azo shaan
2025-01-28
01 min
Dastan -e- zindagi
Baharein Aati Jaati Hain | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Baharein aati jaati hain zamaan e tifli ko kya hua Andheron mein kyon hain raaste tajalli ko kya hua Pareshan kyon hai dil mera, pareshan mera jahan Na din ko chain na raat ko neend tasalli ko kya hua Hai zaamin nahin koi zindagi ka magar, naaseh Hangama har su itna kyon, mutawalli ko kya hua Mausam e bahaar men nishan khazaan ke kyon Khilte hain chaman men gul per titli ko kya hua Munafiq jahan men etimaad karen to kis pe, ‘sahil’ Chalti to hai be shak magar zubaan asli ko kya hua Website : www.ashoksawhny.com Youtube https...
2025-01-28
02 min
Dastan -e- zindagi
Baat Dushmani Ki | Poetry By Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Poetry
Baat dushmani ki hoti to unhen kamzor kyon banata Khawateen ko Khuda phir mardon se kyon milata Zabardast hain yeh kaisi aaj rishton mein daraaren Shayad unsiyat ho jaati gar unsiyat Rab na banaata Maazi bhale azaab ho, naam tifli ka to mahabat hai Daana, bachpan ke jhooley mein hai khud ko jhulata Munsif sacha to wohi hai dil mein jiske ho khauf e khuda Faisle jo muqadamon ke khuley aam hai sunata Adalat nahin hai zeest kyon mushkil hai yeh samajhna ‘Sahil’, aqlmand auron ki sun kar baat khud ko hai samjhata
2025-01-17
01 min
Dastan -e- zindagi
Hum Se Mat Puccho | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Hum se mat puccho deewaanon se puccho Yeh dunya hai un ki zamaanon se puchho Majaazi khuda hai jahan men kaun awwal Hum se nahin daanishmandon se puchho Woh haqeeqat se door, aasmaan ke qareeb Sach kya hai un ke bahaanon se puchho Woh jaante hain sab kuchh khuda se mazeed Iraade tum unke khwaabon se puccho Taabeer kis ne ki, kabhi khwabon ki sahih Yaqin nahin aata to saveron se puchho Hum ahd e maazi ko bhooley nahin, ‘sahil’ Tum sawaal apne hamare andeshon se puchho Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https...
2025-01-17
01 min
Dastan -e- zindagi
Jaam o Meena | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Ai rind, jaam o meena hai tera, maikhana nahin Chund ghariyan, kuchh surur bas, zamana nahin Sakoot e sumundur dekhiye talatum o tufaan nahin Rah e junoon hai zindagi roodaad e fasaana nahin Ik dhadkan hai hayat, isey ghalat na samajhna Hifazat hai sabaq is ka dil ko tadpaana nahin Dil naadaan nahin to kya hai kisi aalim ka aashiyan Firasat ka baatin mein dil to koi paimaana nahin Mausamon ka dastoor apna hai, waqt ki chaal apni Zeest koi hisaab nahin, bahaaron ka aana jaana nahin ‘Sahil’, khwab na dekhe to gufatgu nazaaron se kaisi Amali honey ka matl...
2025-01-17
01 min
Dastan -e- zindagi
Sumundr ki gehrayi | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Sumundr ki gehrayi koi naptaa nahin Dil bhar na aaye to woh rota nahin Naale masrufiyat ke sab, fikr Rab ki kisey Har ilteja ka jawaab to milta nahin Yaro, zulmat e shab se shikayat kaisi Aqlmand, amuman raat ko jaagta nahin Sambhaalen hum apni hayat ko logo Zimmedaari se daana to bhaagta nahin Qusoor us ka nahin sulaane waale ka hai Zameer to fitratan kabhi sota nahin Ahsanmandi ho dil mein aur palken jhukin Sipaas ka lab pe hona laazim hota nahin Tere shukr ka ek misra hi kaafi hai ‘sahil’ Khuda ki mehr ka hisaab koi rakhta nahin ...
2025-01-17
01 min
Dastan -e- zindagi
Kaaghaz Per Likhe | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Kaaghaz per likhe harfon ko khazaana jaaniye ‘Sahil’, ko be jhijhak aap deewaana maaniye Saanson se fursat hai nahin hisaab jeene ka kya Masrufiyat ko dosto aaj aap bahana jaaniye Badla badla sa zamaan yeh dhamaake pagers per Behtar hai sab naqsh e pa aap mitana jaaniye Doghli hai dunya ab haqeeqat se vaasta nahin Sehat ki lye muzir nahin saraab men jeena seekhiye Yaro, neendon ki kotahi sabko hai jahan mein aaj Lori kaam na aayegi ab khud ko sulana jaaniye Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebo...
2025-01-15
01 min
Dastan -e- zindagi
Mustaqil | Poetry by Ashok Sawhny "Sahil" | Urdu Shayari
Ab kya hua hai gham e dil ko Hai ranj o alam mustaqil kyon Shaikh, tu kahan, hum kahan Bol afsurdah teri mehfil kyon Haqq ke naarey har su har ja Dil mein phir hai baatil kyon Labon pe naam us maalik ka To baatin me hai qaatil kyon Kabhi kal subh ka naam tha agla din Saanson mein ab mustaqbil kyon Tufaan, girdaab, be bas safeena Aaj sahara nahin hai 'sahil’ kyon Rabba, tere jahan, hangame har su Bol, insan ko kiya tu ne na qaabil kyon Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil In...
2025-01-14
01 min
Poetry On Life
Banish the Blues lyrics by Ashok Sawhny Sahil
Banish the Blues Banish the blues – Why blow a fuse? Happy or morose, The choice is yours. Don’t tell me otherwise! Who has time for cries? It’s all up to you, Do what you have to. Keep the smile aglow, A frown is your foe; The world’s not against you, What’s your reason to rue? A bad day in the office, A rock with a crevice, Nothing’s ever whole – Have you never missed a goal? The boos and the cheers, Your hopes and your fears, All part of living; ...
2025-01-14
01 min
Dastan -e- zindagi
Luft e Sukhan-Lyrics by Ashok Sawhny
Lutf e sukhan to sukhan mein hai Jaan to meri badan mein hai Taaliyon ki goonj se kya miley Sukun to raushan man mein hai Yeh justaju e shauhrat hai kya kaho Khaalipan to saara dhan mein hai Taqreeren to har ja be shumaar hain Daanayi lafzon ke vazn mein hai Waaldain qareeb aulaad hai kitni Taskeen isi shaan mein hai Ma ke gehwaare ko bhooley hain log Afsos to isi badzan mein hai Main aya, main ne dekha, fateh kiya Aaj zawaal isi lagan mein hai Kyon bhuli hai aaj apnon ko dunya ‘Sahil’, rooh to aakhir watan mein...
2024-12-13
02 min
Dastan -e- zindagi
Yaro Shikwe | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Yaro shikwe zulmaton ke saver se kyon Woh to nahin puchhti uthe ho der se kyon Tum sa jawaan nahin, taqaza umr ka hai Vaasta mera ab ho kisi sher se kyon Logo batao ke vajh kya hai, agar Dil darakhshhan to khaaif andher se kyon Jab khaak hai teri hasti to bande bata Darta hai tu phir ik mitti ke dher se kyon Momin hun sahil’ iman mera mohkam Dua se kaam chalta hai sab, her pher se kyon Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www...
2024-10-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Zakhm | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Zakhm, woh zakhm hi kya jis ki koi khabar na ho Woh zer kya batao hamen jiska koi zabar na ho Usey zindagi kahoge kya jo lamhe ke sang na chal sake Woh darya kya kehlayega jo ravaan lagey magar na ho Hayaat to aani jaani hai moayyan hai anjaam bhi Usey ghar ki rah milegi kya jiska saans hi muntazir na ho Ai ghaafil insan bata hamen dil se puchh kar magar Kya Rab ko tu bhool jaaega gar masjid aur mandir na ho Sahil usey kahenge kya jo kashti ko sahara na de Aur tujhe ‘sahil’ dil same...
2024-08-22
02 min
Dastan -e- zindagi
Sham’a | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Sham’a to parwaane ko jala deti hai Aur halki si hawa sham’a ko bujha deti hai Wafa ki umeed insanon se kaho kaisi Jab zeest hi sab ko khud dagha deti hai Ana pe karey koi aitbaar to kaise Jab inkisaari sar ko jhuka deti hai Qismat se bartar koi murshid nahin Mafhum wo zindagi ka samjha deti hai Jo roothen hon tum se unhin se puchh lo Tumhari shirin zubaan unhen mana leti hai Woh momin hi kya bata hum ko, 'sahil' Jo samjhe dua hamen chain nahin sila deti hai Website : www.ashoksawhny.com Youtube https...
2024-08-21
02 min
Dastan -e- zindagi
Taseer E Mahabat | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Taseer E Mahabat By @AshokSawhnySahil. Video Artist - Ujala Saroj #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Taseer e mahabat, taaseer e insaniyat Na ho to ghaflat, na ho to museebat Azba e hangama to bas khel iblees ka hai Jab ism e insaniyat hai jazba e murawwat Zabt e sukhan nahin, hirs o hawaas la mahdud Zaalim hai zurur yeh taskheer e kaaenaat Kyon itna ghaafil hai insan in baaton se aaj Jaanen jaati hain kaisi yeh samjhaaye aaj siyasat Kyon sab kuchh luta den hain hum kursi ke liye Jab zameen pe hoti hai sabko roz soney ki aadat Yeh ka...
2024-08-21
03 min
Dastan -e- zindagi
Muntazir-e-Deedaar | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah |
Kyun pherta hai tasbeeh, Zahid tu baar baar Kam huin kya mushkilen , kam hua aazaar Dil se hi hoti hai ulfat, hamesha Nigahon se hota hai, sirf izhaar Khareed o farokht ke mahaul mein dekhiye aaj Har jagah ba pa hai ik hungama bazaar Ek luqmah bohat hai shikam Sery ke liye Hawas kyun ai insaan, tu kyun hai khawastgah Seerat, soorat, har shakhs apni zaat mein Laazim hai hona sab ka, alag kirdaar Jo tufaan se dare sahil ki goad mein Usey kya le jao ge, dariya ke us paar Reh muntazir bahaar ka, kyun takta hai khaar...
2024-08-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Mujhe Yun Na Dekh | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Mujhe yun na dekh dil sambhal na paayega Tum chali gayin to mehfil yeh kaun sajayega Pathhar ka nahin, sang e marmar ka nahin Naazuk hota hai dil yeh kaun samjhayega Lahu ravaan na daure zakhmi dil men agar Batao phir raqs e bismil yeh kaun karayega Qatl nigahon se to khatrnaak hota hai bahot Munsif, yahan qaatil kaun yeh kaun batlayega ‘Sahil’, raftaar waqt ki to waqt hi jaane,bas Zakhm hoga ya nahin mundamil yeh kaun batayega dil sambhal na paayega Tum chali gayin to mehfil yeh kaun sajayega Pathhar ka nahin, sang e marmar ka nahin Naaz...
2024-08-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Jo Chal Na Sakey | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Jo chal na sakey usey raasta kya batlaoge Kor chashm ko tum aayena kya dikhlaogey Dervesh sa nahin nasha rind ka, saqi Tum maikade ko aashiyana kya banaoge Ana apni ko sambhaalo ai insan tum, varna Us takabbur ke talatum mein beh jaoge Tere dil mein tasavvuf ki ik kiran nahin hai Tum khuda ko dil mein kya basaoge Sada maashre ki ‘sahil’, aur fiza jahan ki Umeed rakhti hain donon tum chup ho jaoge Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet Spotify: Ashok...
2024-08-21
03 min
Dastan -e- zindagi
Main Girift-E-Hadd | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Main girift e hadd men hun aur tum ho be karaan Zameen ki bandish mujh per aur tum ho aasmaan Muqabilon se to haasil na hua kisi ko kuchh Rab ki jo samjhe riza wohi firasat ka hai nishan Aag se dars lijiye pinhan us men hai yeh baat Ke milta hai falak se ja kar udta hua dhuaan Mubarak hon tujhe ai shaikh kaakh o gulzaar tere Magar tujh se bartar hai bahot woh jo hai la makaan Raat bhi kis qadr hai woh bad naseeb bechaari Nazar na aaye jisey kabhi subh ka suraj ayaan Zulmaton se ky...
2024-08-21
03 min
Dastan -e- zindagi
Gar Doob Jaaye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Gar Doob Jaaye By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Gar doob jaaye sahil to kya Na rahey yeh mehfil to kya Umr bhar na bhare, nasoor rahe Zakhm na ho mundamil to kya Be taab ho jaan, tadapti ho rooh Pur sukun na ho dil to kya Chalte raho safar hai yeh, yaro Khisakti rahey manzil to kya Zaamin nahin hai saanson ka koi Jeena ho mushkil to kya Mehrbaan ho falak, chaah yeh sab ki Per naraaz ho aasmaan to kya Miley na fursat din ko tumhen Aur raat ko tadpe jaan to kya Milta nahin hai kul ja...
2024-08-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Dua | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Dua By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Dua Jab haath uthao dua ke liye To zuban ka naam o nishaan na ho Labon pe ho us ki hamd o sana Aur sada-e-dil zuban pe ho Jab haath uthao dua ke liye Talab mehez reham ki ho Kya mango ge us Maula se tum Sajda bas sajda hi ho Miley gi tumhe phir faiz yabi Dua jab bas dua hi ho Yaqeen ho mukammal us Raheem per Aur yaqeen ke siwa kuch bhi na ho Na dar ho, na shak ho, na ho kuch aur ‘Sahil’ bas zuban per khuda...
2024-08-11
01 min
Dastan -e- zindagi
Mohabbaton ki kahani | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Mohabbaton ki kahani By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Mohabbaton ki kahani sunane aaya hun Har ek roothe huay ko manane aaya hun Tujhe khabar hai tere reshmi tarannum ko Main bazm-e-shauq mein bhi gungunaane aa ya hun Mera payaam hai raah-e-khuda pe aajao Jo so rahe hain unhen main jagaane aaya hun Haseen subh ko sajne sanwarne do yaro Main sirf aaina us ko dikhaane aaya hun Mujhe nahin hai khauf baad o baaraan se Chiraagh tez hawa mein jalaane aaya hun Rukh-e-hayaat pe afsurdagi ka pehra hai Rukh-e-hayaat ko Shaadmaan banane aaya hun Kuch ehtimaam ki kh...
2024-08-10
02 min
Dastan -e- zindagi
Tufaan | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Tufaan Video Artist - Ujala Saroj By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Tufaan ka kaam bas sahil ko rulana hai Aur waqt ka sab ko maazi se milana hai Saharon ki baat na kijiye fursat kisey hai Zimma sab ka apna hai gar dard ko mitana hai Majburi ban gayi hai naam tabassum se logo Ab aafat men bhi mujhe sirf muskurana hai Nuskha khushi ka sab ka apna apna hai Zimma bhi apna yehi khud ko samjhana hai Naqsh e pa to ban gaye lekin, ai ‘sahil’ In maujon ka to roz ka yahan aana jaana hai Website...
2024-08-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Haal-E-Hazeen | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Haal e hazeen ki baat kya karni Haseen shaam ki raat kya karni Jo milna na chaahe tum se kabhi Phir us se mulaqaat kya karni Padhaya hai tu ne kisi ko na shaikh Phir bata qalam dawaat kya karni Rab woh sab ka, waahid wo aala Dua maango, tehqeeqaat kya karni Bakhshi hai us ne jab sabko hayaat Mazeed hamen saughaat kya karni Sab kuch to milta hai momin ko Kisi ki kaho khairaat kya karni ‘Sahil’, jab do gaz zameen hi kaafi hai Phir tujhe yeh kaaenaat kya karni Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com...
2024-08-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Aarzu | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Kya aarzu na ho koi, gar jaam e jam ho Aur khushi hi nadarad jab ranj o alam ho Bahaar hi bahaar, ya musalsal khizaan Aur ulfat na ho koi, jahan sitam ho Asar ki baat hai jaante hain yeh sab Hamdardi ya dawa, jo bhi marham ho Iblees o farishta to sab men hain donon Bhaley mausam yahan sard ya garm ho Gumaan o bad gumaan to baat waqt ki hai Aisa to nahin ke har aan iman mohkam ho Intekhaab nahin hota har baat pe ‘sahil’ Zinda rehte hain hum jab talak dum ho Website : www.ashoksawhny.com Yo...
2024-07-20
01 min
Dastan -e- zindagi
Pyaar Ki Baatein | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Pyaar ki baaten nahin pyaar kijiye Haail se kya darna, usey paar kijiye Jagah naseehat ki to hai apni zurur Per na samjho to inkaar kijiye Baad e mukhalif saazgaar nahin hoti Per haath thaam kar us ka sawaar kijiye Milne gar aaye dareeche se aftaab Bina soche samjhe uska deedaar kijiye Dauhrana to ‘sahil’ koi jurm nahin Jis tarah bhi miley chain, baar baar kijiye
2024-07-19
01 min
Dastan -e- zindagi
Bahot Door | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Bahot door Na dhundna mujhe haafize mein apne Ke khayalon se hun main bahot door Karo tasavvur to dil hi se karna Ke zehan se dil hai bahot door Chaand sitaron ko dekho Raushan hain kitne Zameen se kitne woh door Falak hai farozan Zameen pe andhere Falak se zameen kitni door Manjhdaar hain musafir har so tufaan Aur kashti hai kitni door Na puchh faasle tu hum se mallah Aur sahil hai kitna door Qurbaton ko na dekha tha aise kabhi Nazdikiyon ko yun itna door Kya hua hai aaj zamane ko ‘Sahil’ Kyun lagta hai yeh...
2024-07-19
01 min
Dastan -e- zindagi
Gar Doob Jaaye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Gar doob jaaye sahil to kya Na rahey yeh mehfil to kya Umr bhar na bhare, nasoor rahe Zakhm na ho mundamil to kya Be taab ho jaan, tadapti ho rooh Pur sukun na ho dil to kya Chalte raho safar hai yeh, yaro Khisakti rahey manzil to kya Zaamin nahin hai saanson ka koi Jeena ho mushkil to kya Mehrbaan ho falak, chaah yeh sab ki Per naraaz ho aasmaan to kya Miley na fursat din ko tumhen Aur raat ko tadpe jaan to kya Milta nahin hai kul jahan kisiko Qabuliyat no ho aasaan to kya Jeena...
2024-07-18
01 min
Dastan -e- zindagi
Muqabala | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Muqabala By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jo gham ko na bhula sakey Woh khushi kaho payega kya Jo karta rahey muqabala Naghma wo sunayega kya Deewanagi se bharpoor na ho Khuda ko woh paayega kya Sahil jo sahara na ban sakey Woh kashti phir sajayega kya Dil men jiske noor na ho Woh khud ko raah dikhlayega kya Jo ‘sahil’ ko Eid mubarak na de Woh Eid phir manayega kya Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life...
2024-07-15
01 min
Dastan -e- zindagi
Jo Ranj-O-Alam | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Jo ranj o alam ko na bujha sako Khushi kyonkar phir aayegi, Is mehman ka naam to gham nahin Wo khud ko aa kar kyon sulgayegi Num chashm men pinhan raaz hai Dil jaane ya khaanen us ke, Dil bhi to hai maskhara Kaun jaane bahaane us ke Qaus e quza ke rang hain saat Hamare rang hazaar kyon, Bana hai sabka aaj aashiyaan Bata ‘sahil’ ik bazaar kyon Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English) http...
2024-07-15
01 min
Dastan -e- zindagi
Aasaan Nahin | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Aasaan Nahin By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Aasaan nahin hai chalna yaadon ke saharey Main har lamha guzaar kar bin uske chala gaya Be hiss ho jaaye dil to kaho phir kya kijiye Main aansuon ko apne rulaate chala gaya Be sura tha main itna kehte they sab yehi Main naghme apne aap ko sunaate chala gaya Kohsaron ka bharosa kya pathhar hi to hain Qadr na kisi ki main haail hataate chala gaya Ik baar bhi tu ne dekha na mud kar jab mujhe Main naqsh e pa per tere marte chala gaya Puchha jab mujh se dil n...
2024-07-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Dil Na Roye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Dil na roye to phir pashemaani kaisi Na ki jaaye be saakhta to mehrbaani kaisi Rooh ka zahn se faasla milon door Fikr se mahroom to phir roohaani kaisi Jeet kaisi, shaamil jis mein dhoka ho Her pher to her pher hai, kaamraani kaisi Talatum, tufaan, zalzalzale, sahil ghuroob Khuda naraaz ho to hairaani kaisi Zulmat mein soney waalo aql ki suno Bujh jaaye sham’a to raat mastaani kaisi Jo bhool jaaye khud ko masrufiyat mein apni ‘Sahil’, ghaafil woh kaisa, uski nadaani kaisi Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagra...
2024-07-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Subh, Shaam, Shab | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Subh, Shaam, Shab By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Subh, shaam, shab yeh kaunsi nayi baat hai Per, chaand rooth jaaye to amawas ki raat hai Hijab, naqaab, pardadaari sab, jaanaan Vasl yeh kaisa, bol kaisi yeh mulaqaat hai Maana ke zindagi hi awwal inayaat hai Lekin, us mein mahabat hi aala saughaat hai Gul nahin chaman nahin maidaan e jung hai Yaro, aaj insan bhi kitna wahiyaat hai Mahnoor ne kaha khush aamdeed ‘sahil’ Hum ne samjha ke taskheer e kaaenaat hai Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoks...
2024-07-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Woh Kisi Ka Na Hoga | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Woh kisi ka na hoga, woh jaan e jahan hai Zamin hai uski, usi ka aasmaan hai Khwahish na koi na koi armaan hai Mushkil na kuch sab uske liye aasaan hai Sant o iblees hain us ke ghulaam Shams o qamar us ke ke mulazim Kyon karte hain yaro yeh ahl e siyaasat Vaade hazaar jab man men baghawat Kyon bhoola hai ‘sahil’ insaniyat ko insan Bhoola hai usey bhi jo hai sabka yazdaan Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet Spotify: Asho...
2024-07-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Aashna | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 64
Gulisitan mein rehne walo, rehna ba khabar Kya khabar kis Gul par rakhta hai kaun sa khaar, nazar Guzri ho jin ki zindagi andheron mein yaro Lagta hai phir ujalon se unhein bohat dar Danke mat bajao mardangi ke logo Naazuk bohat hai yeh nanha sa jigar Dhal chuka hai aftaab, guzar gayi hai shaam Ab de mujhe khabar koi, kal ki bhi magar Vaiz, chale thay tere kehne par, hadaayat teri thi Nahin hai yeh gar raah e rab to kya hai yeh dagar Aashna hun ‘Sahil’, mafhum zindagi se Tamasha hai lamhaat ka, aur saanson ka safar
2024-07-03
01 min
Dastan -e- zindagi
Kuch Aisa Likh ‘Sahil’ | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Kuch aisa likh ‘sahil’ jo dil ko chhua karey Pathhar dilon ko jo narmi samjhaya karey Zabardast zururat hai jahan ko in baaton ki Aisa likh jo khud gharazi ko bhi mitaya karey Insaniyat se badh kar to jazba nahin koi Hamdardi ki kaifiyat bhi to batlaya karey Aaj is qadr zaalim hai be hissi insan ki Ke khuda se bhi ab, woh na dara karey Majaazi khuda to behra hai jidhar dekhiye Behra aisa, ke Rab ki bhi na suna karey
2024-07-03
01 min
Dastan -e- zindagi
Alvidah | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah
Kisi qabil bhi na rehta, ‘Sahil’ tu kabhi Qasam khuda ki tod kar, imaan tu kabhi Muntazir hai raah, ja rahi alvidah Mat dekhna mُud kar idher tu kabhi Dastoor hai jahan ka, purana yeh bohat Jaye ga ik din chod kar hamein tu kabhi Mat samjha usool Khumgah ke, saqi Jaam par jaam pi tu kabhi ‘Sahil’, ajab hai junoon-e- shayari tera Ke hosh mein na aaya, sar phod kar tu kabhi
2024-07-03
01 min
Dastan -e- zindagi
Mai- E- Naab - Ashok Sawhny Sahil , Shayari
Title - Mai-E-Naab By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Wo ja le chalo jahan mai e naab ho Pur sukun ho dil na ke be taab ho Wo chaman kya jo bin shamshaad ho Woh insaan kya jo dil se kharaab ho Mafhoom samajhta hai pinjre ka qaidi Woh qafas hi kya jo bin khule baab ho Sheesha o saaghar maikada nahin Khumgah kya gar rind nahin sharaab ho Aftaab ki tapish se sookh jaata hai ‘sahil’ Kaash, baarish ho, khul ke sailaab ho Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhn...
2024-06-22
01 min
Dastan -e- zindagi
Har Dua | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Title - Har Dua By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Har dua ka jawab na miley jaane log kyon gila karte hain Rab tak pahunche kaafi hai hum yehi dua karte hain Hum jaante nahin hain qaasid kaun baat ittefaaq ki hai Na pahunche Rab tak phir ghalat ilteja maante hain Bad duaon se kya darna, unhein jaam e zehar maaniye Apne gunahon ki hum unhen dawa samajhte hain Kamaal woh bande jo khizaan ko maante hain bahaar Jo simoom o talatum ko naseem o saba kehte hain ‘Sahil’, jeena hai naam zeest ka, jee le khushi se tu Aaj is qad...
2024-06-21
01 min
Dastan -e- zindagi
Irtihaal | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah
Ai fanaa, aaj phir tera kamaal hua Mohammad Ali ka Irtihaal hua Ayyashi mein bhoola hai insaan tujhe Aaj phir, achha insaan paayemaal hua Khudaaya, parinde tere to badle nahin Tere bashar ka kyun yun zawaal hua Fitrat fanaa hai har jaan ki yaro Phir kaho, javedani ka kya sawaal hua Aftaab ki surkhi se sharam naak chaand Odhe baitha hai chaadar, kya visaal hua Maseeha, se le kar raam talak Nek insaan ka jeena kyun muhaal hua Daawaydaar firasat ke har mod par hain Phir kyun yarab, jahan be haal hua Ghaarat gari hai aisi, sookha dariya dekho ...
2024-06-21
01 min
Poetry On Life
The Heaven In My Heart| Poetry By Ashok Sawhny Sahil | English Poetry
The Heaven in my Heart There’s a little heaven in my heart tonight, Holding up a candle light, An all night vigil for me alone, To quietly pray and to sins atone. There’s a little heaven in my heart tonight, That takes the dark away from sight, For me to see what lies ahead, For me to know what heaven said. There’s a little heaven in my heart tonight, There to protect me with all its might, From the other me that resides with in, The devil’s friend or the devil’s kin. There’s a little hea...
2024-06-13
01 min
Poetry On Life
What is Light and What Dark. | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | English Poetry
What is Light and What Dark. Fake is the World today, for sure Artificial it is, indeed When, what it will bear Is unknown to even the little seed, Where, overwhelming is sordid desire And, overpowering is greed, When hunger needs not things to eat But survives on filthy lucre and gold as feed. Where, life is not a journey But, a constant mad race, Where, Time’s on no one’s side And, there is no resting-place, Where, smiles are rare and creases bare And, deeply furrowed the human face, Where, buttons you press to annihilate And, no more...
2024-06-12
02 min
Dastan -e- zindagi
Zulm | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah
Title - Zulm/ Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Hum to lage hain dilon mein rehne Ai be nayazi tere kya kehne Mujh ko sath le chal, ai ‘Sahil’ miyaan Arzoo lagi hai yeh mujh se kehne Ek aadat si ho gayi hai jaanam Ab to lutf hai tere zulm bhi sehne Giran baha hai har ashk tera Kahan milte hain, aise gehne Kya nazm padhi hai tu ne, ‘Sahil’ Ansoo falak ke, lage hain behne Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Saw...
2024-06-11
01 min
Dastan -e- zindagi
Mahabat | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Mahabat kaho ulfat ya kaho pyaar Ghaalib aaya na koi na hui kisi ki haar Ke jung nahin hai yeh fitrat hai insan ki Qudrat ka khel yeh raah nahin hamwaar Jhagre fitne hisse is ke jaise hain subh o shab Noor kabhi andhera kabhi, is ya us paar Chaman isey maaniye do janon ka safar Gulon se bharpoor occasional chund khaar Lutf zubaan ka yehi hai ‘sahil’ ijazat hai tujhe Honey de hota hai to firasatmandon se inkaar Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.face...
2024-06-07
01 min
Dastan -e- zindagi
Ma Kya Hai | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Ma jaisa sukoon o aaraam bhi nahin Vaisa pyaar koi marasim bhi nahin Khuda se bartar woh na sahi Magar us se woh kum bhi nahin Ma se badh kar na dost kahin Vaisa to aala humdum bhi nahin Afsos, qadr na ho jahan us ki Us se mazeed sitam bhi nahin Gar dil ke khaanon mein Ma nahin Phir vaisa to zaalim bhi nahin Sant o Pir o Charahgar apni jagah, Per, Ma jaisi to marham bhi nahin Jaane mushkil kyon hai samajhni yeh baat Ke Ma nahin to janam bhi nahin Aur janam nahin to nadaanon Ph...
2024-06-07
04 min
Dastan -e- zindagi
Aaj Be Hosh Zamane -Ashok Sawhny Sahil
Aaj be hosh zamane mein ba hosh kaun hai Kya pucchte ho tum hamatan gosh kaun hai Jab fikr nahin hai kisi ko kisi ki, tab Tu bata ai vaaiz baar e dosh kaun hai Bikti hai bazaar mein aaj khule aam haya Har su hai barhaingi rooh posh kaun hai Khanjar liye woh tayyaar jisey dekhiye Zulm ke is aalam meon aafiyat kosh kaun hai Mufaad parast dunya mein hai Rab parast kaun Puja ho dervesh si vaisa madhosh kaun hai Shor o ghul be shumaar, bas tak raha khuda Kyon puchhta hai ‘sahil’ tu khamosh kaun hai
2024-05-24
01 min
Dastan -e- zindagi
Qafas Ho- By Ashok Sawhny Sahil
Title - Qafas Ho By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Qafas ho udaas to batao bulbul ka hoga kya Chali jaaye woh chhord kar to mehfil ka hoga kya Qaatil ho aashiq gar nasoori ka woh be taab Charahgar phir bata, zakhm mundamil ka hoga kya Naaseh, haal e dil ka zikr ab karun bhi to kya Aaj ki khabar to hai nahin ab mustaqbil ka hoga kya Khushiyan kar deen hum ne jaanam jab sab tere naam Dekh kar num chashm tujhe us muntaqil ka hoga kya ‘Sahil’, salamat to aaj dunya men hai shai nahin koi Tum na main na...
2024-05-24
01 min
Dastan -e- zindagi
Sahil ke Dohey
Title - Sahil Ke Dohey By @AshokSawhnySahil. Rozi hai daya badi, isey na dena khoye Chhin jaaye rozi agar, khada khada hi roye Panchhi gaaye daal per, daali per hi soye Apna ghar apna sajan, jaisa chaahe hoye Jo hona hai so hoyega, soch soch kya hoye Kal ke baare sochkar, aaj kyon nindiya khoye Jeevan men tu chalta chal, chalna sukh ka naam Sirf kaal ke gaal men panthi, sanson ko Vishram Jeevan saphal banayega, prabhu ka hi saath Bhule naam jo Ram ka, phir khayega tu maat Bheekh maangan ke liye, dwaar jo tere aaye Heen samajh ma...
2024-05-24
06 min
Dastan -e- zindagi
Mataa-e-Shauq - Ashok Sawhny Sahil
Title - Mataa-e-Shauq By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Mataa-e-shauq kum ho bhi jaaye, mit ta nahin kabhi Hasraton ka dher dilon mein, marta nahin kabhi Ravaani kaisi darya ki woh to sookhti rukti hai Kabhi zinda dil ko dekhiye jo rukta nahin kabhi Pathhar bhi pighalte hain insanon ki baat kya Kis ne kaha sang dil koi to rota nahin kabhi Dabaane mitaane ki koshishen hoti hain zurur Shukr hai ke zameer mazeed sota nahin kabhi ‘Sahil’, humsafar hai khuda har zindagi ka jab Momin phir kisi se bhi darta nahin kabhi
2024-05-20
01 min
Dastan -e- zindagi
Ai Bulbul- Ashok Sawhny Sahil
Title - Ai Bulbul By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Ai bulbul udaas hai aaj dil mera Naghma na sahi tu gungunaade Khaaron ki baaten qisse gulon ke Chaman ke raaz tu mujhe suna de Zabardast hai shauq qaafilon ka mujhe Kaun aya kaun gaya yehi bata de Tu hansti to hogi muskuraati bhi Tabassum phir aaj hamen dikhla de Naseem na saba kya chalti nahin hain Tu dhund kar unhen hum se mila de Roney se ‘sahil’ to kul aansu miley Yeh baat dil apne ko tu bhi samjha de Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhn...
2024-05-20
01 min
Dastan -e- zindagi
Aarzoo | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 40
Nigah ko nazara ki hai tamanna, dil ko sauda hai justuju ka’’ ‘Sahil’, hum to karte hain intezaar, rukhsat-e-aarzoo ka Gungunahti andaleeb, jagati Khuftah gulsitan ko Leta hai khamosh dil, lutf zulmat se guftagu ka Dhundhta hai kis ko insaan, shab o roz sheesha mein tu Koi to samjhaye mujhe, mafhoom aaina se ru ba ru ka Ghuroob hua hai aftaab, ayaan hone ko hai sehar Ja chuke hain rind saqi, ab kya kere ga mai o subu ka Pursish kaisi maa se nadaan, khair o aafiyat aulaad ki Betaye ga kya koi baghbaan, gulon ke rang o bo ka Haawi...
2024-04-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Mehfil Se Uth Ke | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Mehfil se uth ke aaye ho na jaane kis liye Na milne ke bahaney tum bataney ke liye Mushkilon se main ne sambhala hai khud ko jaanaan Kyon aaye ho num chashm le kar tum rulaane ke liye Chund lamhon ki zeest hai saans agle ki baat kya Ulfat jazba aarizi hai kya yeh jataane ke liye Aasmaan nahin zamin pe hun humsafar meri hai khaak Phir uth te hain kyon log mujhe giraane ke liye Chaman men aaj raunaq na thi sog bulbul ka tha Aaye ho tum ‘sahil’ aaj kyon rukh dikhlaane ke liye Note: All...
2024-04-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Tu ne jab | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari
Tu ne jab ai aftaab sham’a e mehfil ko bujhaya Tab main ne dil jala kar apna mehfil ko sajaya Zamaane ki to fitrat hai hona tah o baala Haathon ko mal mal kar main ne mustaqbil ko banaya Sunta hun main khutbe vaaiz waqt ba waqt magar Samajh to wohi aaya khud jo dil ko samjhaya Taraasha main ne pathhar ko gulon se baaraha Phir sang dil ko badi muskhil se narm dil banaya Jaanta hai reton ko woh tufaanon ko bhi sahil Gham apne pi kar main ne ‘sahil’ ko hansaya Website : www.ashoksawhny.com Youtube https...
2024-04-10
01 min
Dastan -e- zindagi
Parastish /Dard -e-dil ka Darman
Title - Parastish / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Gulshan mein aaj kisi ka bharam nahin hai Dil mein kisi ke der o haram nahin hai Ulfat nah rafaqat, sarwat ki parastish hai Sar o samaan kisi ka deen o dharm nahin hai Munafiq hai kitna jahan aaj ka yaro Falak se jo tapke woh shabnam nahin hai Wasal mein kyun woh lutaf nahin hai Kyun hijar mein bhi woh alam nahin hai Teri auqaat hi kya hai, Sheikh , bata Jahan insaan khuda se kam nahin hai Misl-e haiwan hai, jidhar...
2024-04-09
01 min
Dastan -e- zindagi
Kis Kaam Ki Firasat
Kis kaam ki firasat agar zauq e nazar na ho Teri raah per chalun aur tera ghar udhar na ho Tere tasavvur se jaanam yaad aaye phir naseem Per, yaadein hain saraab woh manzar agar na ho Khazana woh kya jahan la’al o gohar na ho Sadaf woh kya batao jis men gauhar na ho Vaaiz, be hiss ko sunaye to raaeagaan ho sab Khutbe ka kya fayeda gar us ka asar na ho Kor chashm ki hayaat mein andhere nahin hotey Haazir hai nur e khuda gar shams o qamar na ho Mukhbiri hai aisi is dunya me...
2024-03-19
02 min
Dastan -e- zindagi
Tarz E Ibadat
'Sahil', tarz e ibarat, tarz e kalaam, Kijiye inhein mukammal salaam Lafzon mein aakhir kya rakha hai Gar falsafa ho kisi ka maqaam Jo na karey darya kulzum ko salaam Kaisa woh phir ajab inzimaam Woh milna phir milna kaisa hua Jis milne mein na ho koi ehtiraam Manzil, manzil, ek aur manzil Jab justaju bande hai sirf aaraam Sabt o manfi to kuchh nahin hai Tasleem kar momin tu Rab ka nizaam Ai unsiyat, chhupi hai tu bol kahan Ya kiya hai hum ne tujhe tamaam Aaj tajzyaati mutaalon ki baatein bahot Kiya hai jinhon ne jeena haraam Ch...
2024-03-19
02 min
Dastan -e- zindagi
Raah-e-Zindagi | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah
Junoon aisa tha, naam majnu hota to wajib hota Gar takhallus sauda hota, to munasib hota Chalte rahe, ai musafir, raah e zindagi per Mat sochna kash manzil ki janib hota Yeh hota, woh hota, khuda jane kya hota Sitara hota to mein bhi, Saqib hota Mukammal hai shanasaai gardishon se Imaan pukhta na hota, kya mein Rahib hota Nasheb o fraaz fitrat maujon ki hai ‘Sahil’, kash apne nafs per bhi ghalib hota Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permis...
2024-03-13
01 min
Dastan -e- zindagi
Safar To Safar Hai
Safar to safar hai ‘sahil’ koi mausam ka bayaan nahin Jaise sehar naam subh ka hai, aftab ka ayaan nahin Sach kitna hai daleelon mein yeh to daleelen hi jaanen Sabooton ka bharosa kya, woh sach ka bayaan nahin Zabt e sukhan hai aqlmandi, posheeda us men sukoon Khamosh rehnewala naaseh, becharah, be zubaan nahin Daaman pe daagh, chaak girebaan yeh to mohavarey hain Ghurbat ke alamaat be shak, ruswayi ke nishaan nahin Mandir masjid aur kalisey men jaane se kya hota hai Bhooley jo insaniyat ko, woh shakhs to phir insan nahin Sar jhuka kar chalo yaro ibadat bhi khud...
2024-03-13
02 min
Dastan -e- zindagi
Munfail / Dard-e-dil ka Darman
Munfail Muqabil hain samandar aur sahil bohat Ghumzda hai aah, udas hai dil bohat Samjhaayein nazakat mohabbat ki kya Dil o dimagh hain ‘Sahil’ munfasil bohat Hamein qisse na sunao hamdardi ke Hai mohabbat se nafrat mut-tasil, bohat Pila de saqi, rang jama, kuch to kar Be raunaq hai aaj, teri mehfil bohat Nazron se peene ki tamanna hai, sab ko Jaam firasat ke peete hain jaahil bohat Peeri ka baar goya jhuka shajar Barg kya uthaye jo khud ho muzamahil, bohat Karam chahiye kkhuda ka, rehmat usi ki Qismat to dosto hai sang dil, bohat Mat pooch ya rab...
2024-02-23
02 min
Dastan -e- zindagi
'Sahil’, itmenaan kya hai
Title - 'Sahil’, itmenaan kya hai By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari ‘Sahil’, itmenaan kya hai dil ki jaan kya hai Zameen per chalte ho tum, aasmaan kya hai Rind jo bitaaye maikhaane men shab Us se puchh kar batlao aashiyaan kya hai Maathe pe shikan maayus kun hain dil Armaan hi armaan, bolo muskaan kya hai Batao, ittefaaq kya, imtehaan kya hai Mushkilen samjho to jaanoge aasaan kya hai Zara ma’bad se baahar hangaame to dekh Gar aadmi hai vaaiz to phir haiwaan kya hai Har goshe men dekh hujoom men dhoond Phir batla ke aaj ek nek insan kya ha...
2024-02-16
03 min
Dastan -e- zindagi
Chund Qataat
Title - Chund Qataat By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Gul dekhe bahaar dekhi aaye khizaan jab aaye Khwahish ki haaye na hai aziyat ki haaye ‘Sahil’ musta’ar hai hayaat waapas to karni hogi Sochne ka bojh kyon, jaan jaani hai, jaaye jab jaaye Zindagi ek bazaar nahin to kya hai Rozi roti kaarobaar nahin to kya hai Qismat ne likha hai sukh dukh har lakeer mein Yeh khuda per aitbaar nahin to to kya hai Khazaan hi batlaye bahaar kya hai Dua batlaaye inkaar kya hai Ab kaun batlaaye 'sahil' tujhe Gaza mein atyachaar kya hai Rukhsati bataye hona la ch...
2024-02-16
03 min
Dastan -e- zindagi
Mehmaan -recited by Ashok Sawhny
Title - Mehmaan By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Har dil mein ik mehmaan hota hai Jo aksar bilkul anjaan hota hai Yun maaniye hamare aakhiri dum tak Hum zameen woh aasmaan hota hai Woh kaun hai woh kya hai Kya hum se behtar insan hota hai Hum kyon nahin jaante hain usey Hamare andar woh kahan hota hai Khud ko dhundte phirte hain hum Jab hamare yaan woh mehman hota hai Jis khud ko dhunte hain hum yaro Wohi to hamara mehman hota hai Kyon ke khud ko pehchaante nahin Woh mehmaan ik armaan hota hai "Sahil" is men fa...
2024-01-30
02 min
Dastan -e- zindagi
Woh Aadmi
Title - Woh Aadmi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Woh aadmi hai momin be shak jiske qiley nahin Lekin, naam khuda ka zubaan uski bhooley nahin Kyon qabool na hui kaho nadamat us ki Chaak daaman jiske kabhi siley nahin Yaro, hum zubaan hona kya fayeda batao Gar dil woh donon kabhi miley nahin Iman pukhtah ho aisa talatum men logo Jo toofaan men doobtey bhi hiley nahin Takallum ki baat to buray hum bhi nahin ‘Sahil’, bhaley kal raat hum theek soye nahin Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksaw...
2024-01-08
01 min
Dastan -e- zindagi
Woh bhi waqt tha
Aaj rang nahi hai ‘Sahil’ aabginon mein Lahoo sukh chuka hai veraan seenon mein Chala karti thi Saba har subah kabhi Ab samoom bhi aaya karti hai mahino mein Khalal dekhiye is zamrrana ka aaj Log zeher botay hain sairaab zameenon mein Insaan ko insaan hi nahi maanta, koi Phir tafreeq kya kaho pathar aur naginon mein Inkisari thi bunyaad husn kabhi Haif! naz o ishva hai ab haseenon mein Apni duniya ka hungama dekh khudaaya Qeht bohat hai is daur ke qarinon mein Kis qader pareshan hai insaan, ‘Sahil’ Khoon bhi shaamil hai aaj ke pasinon mein Website : www.asho...
2023-12-06
01 min
Dastan -e- zindagi
Shab ka main koi sayarra nahin
Shab ka main koi sayarra nahin Subh ka main koi sitara nahin Shauq ki hai kuchh kotaahi ab Magar, dil mera aawaara nahin Ta umr chala hun rahguzar pe Waqt pagdandion pe guzara nahin Nasheb o faraaz e zeest dekhe Per, himmat main kabhi haara nahin Yaro, qismat nahin maarti hai kisiko Muqaddar ne kabhi maara nahin Hai Rab ka sahara momin hun, ‘sahil’ Kisi aur ko ma...
2023-11-06
02 min
Dastan -e- zindagi
’Sahil’, dil men jhaank
’Sahil’, dil men jhaank Dil men la makaan milega, Takta rahega sitaron ko To sirf aasmaan milega Majaazi khuda milenge Na rahnuma koi, Ghamgusaar nahin Na humnawa koi Baat hisaabon ki hogi Daulat ki shumaar, Saqi bhi maikade men Dost na kisi ka yaar Waqt nahin hai paas kisi ke Fursat na neeyat kisi ki, Unsiyat ko bhoolen hain log Nek nahin h...
2023-07-12
02 min
Dastan -e- zindagi
Baaten tum ‘sahil’ yun banao nahin
Baaten tum ‘sahil’ yun banao nahin Giley shikwe tum apne sunao nahin Nasheb o faraaz hai hissa zeest ka Auron ke dukh per khushi manao nahin Majaazi ho tum zaat khuda ki to nahin Khuda ko to logo tum bhulao nahin Mehangi padengi harkaten tumhen Suli per khud ko chadhao nahin Qeemat nahin khwabon ki koi Khwabon ko tum sulao nahin Gul hun chaman ka mita do mujhe Tum chaman ko to yaro jalao nahin Yaad karte ho ‘sahil’ maazi ko roz, Woh naazuk they din, tadpao nahin Note: ...
2023-07-05
02 min
Dastan -e- zindagi
Armaanon ko qaabu men rakhne ke liye
Armaanon ko qaabu men rakhne ke liye Ek nuskha batayen aaj tumhen hum yaro, Khud ko mat koso khud ko mat maaro Armaan jo andar hain unhen baahar nikalo Machayen agar tamasha woh zyada To phir chupke se unhen wapas tum dalo, Na pasand aaye nuskha gar tujhe ‘sahil’ To khud ko tum kisi goshey men chupke se dafna lo. Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawh...
2023-06-15
01 min
Dastan -e- zindagi
Maujon ki mehfil nahin to phir sahil kya hai
Maujon ki mehfil nahin to phir sahil kya hai Anjaam e kaar sukun nahin to haasil kya hai Sangdil men ho dil jiske woh sang dil kya hai Is subh shaam ki daur men kaho manzil kya hai Manzil e maqsud kya hai vaaiz tu hi bata Sarmad na ho manzil agar to manzil kya hai Rah e khuda per aaye gar iblees kabhi koi Mazahmat nahin to phir yeh haail kya hai E...
2023-06-12
02 min
Dastan -e- zindagi
Qataat e Sahil- lyricist Ashok Sawhny, singer- Mehran Shah
Qataat e Sahil book , lyricist Ashok Sawhny , Singer- Mehran Shah
2023-04-04
2h 43
Dastan -e- zindagi
Dard e Dil Ka Darman Sahil-Lyrics by Ashok Sawhny 'Sahil' -recited by Mehran Shah
Dil Paak ho Jiska Sabr ho tahammul ki rihaaish aaj sitaaron mein hain Rang gulshan ka dekho chand angaaron mein hain Husn sitaaron mein nahi ab nazaaron mein hai luft khazaan na ke bahaaron mein hai Hua karti thi raunaq nashemann mein kabhi Aaj jalwa bhi dekho deewaron mein hai Usey rind na kehna dil jis ka ho paak Pakizaagi bhi dosto ab maikhanwaron mein hai Jaandaar they log kisi zamaane mein ba...
2023-03-07
2h 15
Dastan -e- zindagi
Sahil' ko naseehat
Jhukte hain shajar bhi saare samar ke woh vazn se Shukr kar Rab ka 'sahil' aur tu bhi ab aaraam kar Koshish kar le tu jo chaahe, tujh se jo ho sakey Anjaam saare ai insan, Rab ke tu naam kar Maikhane aur mai ko tu sumundur ke supurd kar Ek ek kar ke mai e naab ke khaali tu sab jaam kar. Nek iradon ka maalik ban paak tera libaas ho Karna hai jo kar...
2023-02-27
01 min
Dastan -e- zindagi
Zindagi Kya hai
Dil ne mohlat na dee Hangaamon ne fursat na dee Hum kya karte ‘sahil’ bata Jab saanson ne aur ijazat na dee Pa ba jaulaan nahin hai hayaat Per muqarrar hain sab din o raat, Maana ke na samajhni mushkil nahin Lekin, pecheedah zurur hai yeh baat Aazaadi bina paabandi nahin hoti Zulmat na ho to tabindagi nahin hoti, Khuftah ho zameer to sochiye zara Nadamat o sharmindagi nahin hoti
2023-02-06
05 min
Dastan -e- zindagi
Sahil dilkash thi teri tehreer kaisi
Sahil dilkash thi teri tehreer kaisi Kya hua kyun badli hai woh sareer kaisi Dekhiye zamaane mein yeh darogi raaz Wafa ko samjhte hai log zanzeer kaisi Andaaz dekhiye ahl e imaan ke aaj Rakhte hai momin dilon mein tasweer kaisi Hum or tum nahin hai yeh sehr ke logon Hum kya hamari taqdeer kaisi Neend nahin khwaab nahin kaboos hi kaboos Khwabon ki phir hogi tabeer kaisi ...
2023-01-19
03 min
Dastan -e- zindagi
"Sahil" ke Dohey
Meri riza ki puchhna ain Raaba, meri ki auqaat ai Manzoor mainun hukam tera Hayat teri hi saughaat ai Milna jo naseeb ich hai Raula yaro paandey o ki Jhilmil jhilmil taare sab Kadi takko pairaan talley ki Har cheez likhi ja chukki ai Nadi da milna darya naal Meelaan da safar taweel Bigde na nadi da vaal Chal yaara kithey daur chaliye Kithey...
2022-09-12
04 min
Dastan -e- zindagi
‘Sahil’ baat rang o bu ki kijiye
‘Sahil’ baat rang o bu ki kijiye Phoolon ki khushbu ki kijiye Aabaad hai chaman mera Aaiye bahaar se guftagu kijiye Bezaar nahin hai gul koi Har su shaadmani dekhiye Khuftah nahin hai kuchh bhi yahan Zinda armaan o aarzu dekhiye Kisi maikade se kum nahin Aap lutf daaru ka lijiye Aur dil men phir, ai mominon Lafz e Allah hu sambhaaliye
2022-08-01
02 min
Dastan -e- zindagi
Sahil’, bas ghulaam koi aisa ab mil jaaye
‘Sahil’, bas ghulaam koi aisa ab mil jaaye To waqt e ikhtetaam sukun se guzar jaaye Ayena woh dikhlao jo har baat per meri Qabuliyat men bas sar apna hilaaye Is daur e peeri men woh har roz mujhe Asr e Haal nahin, guzre zamane dikhlaye Sur gham e dil ke khushi men badal jaayen Bulbul ke naghme koi beetey sunaye Maathe pe shikan yun saaf ho jaaye Goya naya...
2022-08-01
02 min
Dastan -e- zindagi
Chalte hain jo abla pa reton per, ai 'sahil'
Chalte hain jo abla pa reton per, ai 'sahil' Kaunsi hai bataye koi aakhiri un ki manzil Baat yeh un ki nahin hai, nahin hain jo deewane Har shaam jo jaate hain shaikh saab ki mehfil Aasan kya aur kya mushkil, mauzu falsafe ka Aasan nahin hai kuchh bhi, kuchh bhi nahin mushkil Samjhen gar aasaan si baat bande khuda ke agar Faani hai yeh dunya saari, kuchh nahin mustaqil Talatum...
2022-07-13
03 min
Dastan -e- zindagi
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney Khwabon ki taabeer karey koi to koi baat baney Haqeeqaton se to main khub vaaqif hun, Vaaiz Umeedon ko sanwaarey koi to koi baat baney Talatum se ho khaaif to sahil pe khadey kyon Bigdi ko banaye koi to koi baat baney Tamashayi na hon sahil per to sahil wo kya Naqsh e pa bachaye koi to koi baat baney “Sahil”, us paar...
2022-07-01
03 min
Dastan -e- zindagi
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney Khwabon ki taabeer karey koi to koi baat baney Haqeeqaton se to main khub vaaqif hun, Vaaiz Umeedon ko sanwaarey koi to koi baat baney Talatum se ho khaaif to sahil pe khadey kyon Bigdi ko banaye koi to koi baat baney Tamashayi na hon sahil per to sahil wo kya Naqsh e pa bachaye koi to koi baat baney “Sahil”, us paar...
2022-06-14
03 min
Dastan -e- zindagi
’Sahil’, haath men paimaana hai Saqi yahan deewana hai
’Sahil’, haath men paimaana hai Saqi yahan deewana hai Jaam khaali bhi rahe phir bhi mujhe gungunana hai Puchhta hun khud se main deewanagi men hi sahi Shab o roz banaye suraj ne kyon, kya woh mastaana hai Kuchh to hoga zurur hamari aql ke baahar, firasatmando Kya burey waqt ka kaam mahz hamen sataana hai Khwabon se nahin hoti usey dilchaspi batao kyon Zameer ka kaam to, huzoor, aakhir sab ko jagaana hai
2022-04-18
06 min
Dastan -e- zindagi
Umeed sajaye baithe hain subh ki, shab e vasl ke baad
Umeed sajaye baithe hain subh ki, shab e vasl ke baad Ke Naghma e bulbul sunayi de is shaam e ghazal ke baad Dekha kis ne mustaqbil ko, dil ko apne jeete jee Haal men jeena seekho yaro, kya hai mustaqbil ke baad Shamsheer se ghayal huay, qatl huay nazron se hum Kya hai koi qaatil baaqi ab us dast e ajal ke baad Jaanti hai manjdhaar men kashti manzil uski sahil hai Per, tu bata ban...
2022-01-11
04 min
Dastan -e- zindagi
Aaj khush na hua ayena kyon ‘sahil’ ki muskaan se
Aaj khush na hua ayena kyon ‘sahil’ ki muskaan se Kya shirin na nikle alfaaz us ki na gawaar zubaan se Udaas kyon, vajh kya bulbul teri aaj kh-moshi ki Aayegi phir bahaar zuroor kyon darey hai tu khazan se Mit ti hai tishnagi magar, ahistah ahistah zamin ki Girey hai jab haule haule baarish aasmaan se Sookha dil aur sookhi jaan hai bujhe na jis ki pyaas Baithe lab e darya bhi, aab e joo e ra...
2022-01-04
09 min
Dastan -e- zindagi
Tum sahil ki god men hum tanha girdaab men
Tum sahil ki god men hum tanha girdaab men Paaon tale zamin tumhaarey hum sailaab men Madhosh, ai saqi, hain rind tere aaj khub Hum baithe hain ghuroob jaam e mai e naab men Badalte zamaane se shikwe nahin, vaaiz, phir Chaah sukun ki kaisi dil e be taab men Yaro, bu haqeeqat ki aur nazar ka fareb hai Tafreeq kijiye zurur khwaab o saraab men Naaseh, maqsad e zeest jeena...
2021-12-15
04 min
Dastan -e- zindagi
Kabhi dakhl na dena “sahil” manzilen hain sab ki apni
Kabhi dakhl na dena “sahil” manzilen hain sab ki apni Qaafiley bhi apne apne raahen hain sab ki apni Kya aisey bhi log hain zindagi men jo usi se na miley hon Yeh intekhaab bhi apna apna mulaqaten hain sab ki apni Mahtaab ko takta hai koi, koi akhtar shumaari men masroof Koi khwabon ki justaju men mahv, raaten hain sab ki apni Veeranon ka dost hai koi, baharon ka haamil koi Nazariye sab ke apne apne, ni...
2021-12-13
00 min
Dastan -e- zindagi
’Sahil’ roz e jazaa ki baat kya jab roz hi qayamat hai
’Sahil’ roz e jazaa ki baat kya jab roz hi qayamat hai Aafat hai ke yahan sab ko tujh se hi mohabat hai Ghuroor itna bhi achha nahin samajh le shaair yeh baat Aahang dil ki sun le tu, khud sataaish to musibat hai Khazan men kya mehakte gul, phool na kehlayenge Khaar ho paasbaan to kya, un ki phir bhi nikahat hai Kaash, bhool jaaun khud ko main chaman ke kisi goshe men Muqaddar aisa nase...
2021-12-10
12 min