podcast
details
.com
Print
Share
Look for any podcast host, guest or anyone
Search
Showing episodes and shows of
Soniya Kanchan
Shows
Echoing A Shadow
Jaam
Chalo aaj kuch kahaniya bunnte hai Alfaaz hai, ehsaas hai Phir Uss mulaakat mein bhi kuch baat hai Har zikar mein ek raaz Woh kal bhi mera aaj hai Sach ki toh sirf yeh siyahi hi ek gawaah hai Kya yeh iss jaam ka kamal hai? Aaj bas unn kahaniyo k naam hai.
2021-08-15
00 min
Echoing A Shadow
Sama
Yeh raat ka sama hai Jo tujh se juda hai Khamoshi hai magar Tere mere beech ki Woh baatien sunai de rahi Na bhule hai hum tujhe Na bhula yeh raasta hai Sheher hai yeh tera Par mujhe pukar raha Tu jo nhi Phir woh baat kahan Raahien Wahi sahi Jaam toh naya hai Na bhule hai hum tujhe Na bhula sama hai
2021-07-25
00 min
Echoing A Shadow
Kahan
Rahat kahan, chahat kahan Dil mein dhakan hai magar ibadat kahan Zinda hai lekin jeete nahi Sochte hai lekin karte nahi Woh junoon kahan, woh sukoon kahan Jasbaat hai magar woh jazbaa kahan
2021-07-03
00 min
Echoing A Shadow
Guftagu
Shaam se thodi Zara guftagu kr lijiye Apne ishq ka kya pata Woh raaz khol de Unn khatto ka woh Izhaar kr de Boli thi hume Har roz likhti rahi Uss ikraar mein Kabhi peeli hui Kabhi gulabi hui Har rang se hume Lubhati rhi Uske dard pe bhi zara Gaur farmaiye Milke bhi woh usse Mil na saki Woh dhal si gayi Aur woh theher na saka Boli thi hume Har din ki ek nayi shaam hai ...
2021-06-13
00 min
Echoing A Shadow
Kya kahe
Kya kahe Kya na kahe Iss soch mein hi reh gaye Jo lavz thee zabaan mein Woh muskurahaton mein kho gaye Sheher bhi jo tham gaya Unn palon mein kuch toh baat thi Raakh ban k reh gayi Dil mein woh jo bhi aag thi Kya kahe Kya na kahe Hosh bhi raha nahi Toh ab Kaagazo mein kaid ki Zakhm se likhi hui Taqdeer ki yeh shayari
2021-06-06
00 min
Echoing A Shadow
Sawal jawab
Kitna ghira hue hai tu apne khyalo mein Unn aaj aur kal Ke sawalo mein Kab tak khud pe taras khaega Kab ateet ke parde hataega Kab tu unn sooraj ki kirno ko Apne aaj se wakhiif karaega Bandisho se thoda toh rukh mod Yeh jasbat hai bade anmol Inko jag se na tu chod Khudse nazar mila Thoda jasba dikha Maan le bas ek baat Tu hi hai sansar Tu hi sur aur tal Tu hi hai sawal Tu hi jawab
2021-05-23
00 min
Echoing A Shadow
Ho beparwah
Anjaan raaste Safar naya Manzil kahan Kisko hai pata Bas chal diye Saath Dil gumshuda Shayad hum ruthe Kuch saathi chutee Kho jaane ki hai arzoo Dur jaane ki hai arzoo Khudko paane ki talaash Hua is raaste se pyaar Yakeen bas iss ehsaas mein Iss waqt mein Iss raat mein Kahe yeh har baar Har pal dikhae ek nayi raah Kadam rakh Ho beparwah
2021-05-17
00 min
Echoing A Shadow
Shaam
Na jaane kab woh shaam aaegi Hawa jab saare dard le jaegi Umeed se asmaan bhara hoga Waqt tera-mera amar hoga Uss roz Chai bhi thodi kadak hogi Zindagi shayad saral hogi Shaam mein kuch hararat hogi Zehen mein bas sirf chahat hogi Uss roz Hum muskuraenge Kuch dhun toh gungunaenge Na jaane kab woh shaam aaegi Jo bas tujhe dekhte dekhte dhal jaegi.
2021-05-10
00 min
Echoing A Shadow
Hawa
Iss hawa mein khone ka mann karta hai Uss kadakti dhoop ke bether ko chaav hai Usme lipat jaane ka mann karta hai Teri aakhon ki sacchai se ek baar phir roobaroo hone ka mann karta hai Inn badalo ki kahaniyo apne zehen mein kaid karne ka mann karta hai Uss pahaad ki lod mein thak kar so jaane ka mann karta hai Woh jo bechain akanshaein hai Unhe Woh jo faasla hai mujhme aur meri aakanshao mein Woh iss dhalte sooraj ki madhoshi mein qurbaan karne ka mann karta...
2021-05-01
00 min
Echoing A Shadow
Main
Kagaz aur kalam Chaar deewar mein band Shayad yeh bhi hai ek vardaan Shor hua thoda kam Ab toh thoda khuse mil Soch ke daariye mita Unn chote chote sapne ko Zabaan tak toh la Yahan kaun tujhe rokega Unki aakhon se kab tak khudko tolega Vishwas kar Dhyaan de Aaj kuch samay apne naam kar Shayad tu samajh jaega ki Khud se behtar tujhe koi nahi jaan paega.
2021-05-01
00 min